Aaqa Ka Milad Aaya

Charon-Taraf Noor Chhaya, Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Paigham Laya, Aaqa Ka Milad Aaya

Shams-o-Qamar Aur Tare, Kyun Na Hon Khush Aaj Sare
Un Se Hi To Noor Paya, Aaqa Ka Milad Aaya

Khushiyan Manate Hain Wohi, Dhoomen Machate Hain Wohi
Jin Par Huwa Un Ka Saya, Aaqa Ka Milad Aaya

Hai Shad Har Ik Musalman, Karta Hai Ghar Ghar Charaghan
Galiyon Ko Bhi Jagmagaya, Aaqa Ka Milad Aaya

Mukhtar-e-Qul Mane Jo Unhen, Noori-Bashar Jane Jo Unhen
Nara Usi Ne Lagaya, Aaqa Ka Milad Aaya

Jo Aaj Mahfil Mein Aaye, Man Ki Muraden Wo Paaye
Sab Par Karam Ho, Khudaya! Aaqa Ka Milad Aaya

Ghaus-ul-Wara Aur Data Ne, Mere Raza Aur Khwaja Ne
Sab Ne Hi Din Ye Manaya, Aaqa Ka Milad Aaya

Naat-e-Nabi Tum Sunao, Ishq-e-Nabi Ko Badhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya, Aaqa Ka Milad Aaya

Jis Ko Shajar Jaante Hain, Kehna Hajar Maante Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paya, Aaqa Ka Milad Aaya

Dil Jagmagane Lage Hain, Sab Muskurane Lage Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chhaya, Aaqa Ka Milad Aaya

Kar Aye Ubaid Un Ki Midhat, Tujh Par Khuda Ki Ho Rahmat
Tu Ne Muqaddar Ye Paya, Aaqa Ka Milad Aaya

Share Now