Aamina Ka Laal Aaya

Aamina Ka Laal Aaya, Aamina Ka Laal Aaya
Aamina Ka Laal Aaya, Aamina Ka Laal

Aa Gaya Woh Noor Wala Jis Ki Unchi Shaan Hai
Jis Ki Midhat Mein Utaara Rab Ne Ye Qur’an Hai

Ho Bayan Kaise Fazilat Aamina Ke Chand Ki
Us Ki To Har Har Adaa Par Bolta Quran Hai

Jo Kaha Mere Nabi Ne Wo Hamesha Sach Hua
Hoo-Ba-Hoo Sabit Ye Karta Aaj Science-Daan Hai

Jis Ki Haibat Se Pahaadon Par Hon Taari Zalzale
Seena-e-Mahboob Par Utra Wahi Qur’an Hai

Rahmat-e-Bari Mili Hai Khub Kar Lo Ab Khushi
Rab Ka Ye Farman Hai Aur Aayat-e-Quran Hai

Sang-Reze Bol Uthte Hain Tumhaare Hukm Se
Kya Tumhara Martaba Aur Kya Tumhari Shaan Hai

Aamina! Tujh Ko Mubarak Tere Ghar Jalwa-Figan
Aaj Wo Maah-e-Risaalat Nabiyon Ka Sultan Hai

Momin-e-Kaamil Hai Wo Saahib-e-Imaan Hai
Jaan Jis Ki, Ya Nabi! Aap Par Qurbaan Hai

Waqt-e-Aamad Rab Ki Rahmat Ke Jo Hisse Waa Bate
Aaj Usi Rahmat Ka Taalib, Ya Nabi Salman Hai

Share Now