Jalal e Ghausiyah Allahu Akbar

Manqabat E Sarkar Ghaus E Azam

Jalal E Ghausiyah Allahu Akbar
Kamal E Ghausiyah Allahu Akbar

Khuda Mo’ti Nabi Qasim Wo Moosil
Ye Haal E Ghausiyah Allahu Akbar

Tufail E Mustafa Ye Saara Aalam
Hei Maal E Ghausiyah Allahu Akbar

Zamane Mein Kaha Koi Batado
Misaal E Ghausiyah Allahu Akbar

Kahenge Yusuf E Saani Hum Unko
Jamal E Ghausiyah Allahu Akbar

Rabi Un Noor Ke Jo Baad Chamka
Hilaal E Ghausiyah Allahu Akbar

Khuda Ab Qadri Ko Kar Inayat
Wisaal E Ghausiyah Allahu Akbar

Tali Laakhon Balaein Ek Nazar Se
Jalal E Ghausiyah Allahu Akbar

Buland Sab Ped Se Hei Unka Pauda
Nihaal E Ghausiyah Allahu Akbar

Wali Ke Taaj Mein Jaise Nageena
Hei Naal E Ghausiyah Allahu Akbar

Qadam Bose Jahañ Ke Unke Sar Par
Hei Naal E Ghausiyah Allahu Akbar

Mere Aal E Rasool Aaqa O Maula
Hein Aal E Ghausiyah Allahu Akbar

Raza O Hamid O Noorie Aur Akhtar
Kamaal E Ghausiyah Allahu Akbar

Banaein Wo Jise Toote Kabhi Na
Bahaal E Ghausiyah Allahu Akbar

Talabgaar Ibn E Adam Tu Hei Kiska
Bahaal E Ghausiyah Allahu Akbar

Rahe Bas Khalwat O Jalwat Mein Ae Sham
Khayal E Ghausiyah Allahu Akbar

Share Now